Showing posts with label dukhy ghazals. Show all posts
Showing posts with label dukhy ghazals. Show all posts
Sunday, 28 October 2012
Wednesday, 24 October 2012
Na Koi Rang Na Hathon Pe Hina Mere Baad
Na Koi Rang Na Hathon Pe Hina Mere Baad”
Wo Mukamal He Siah_Posh Hua Mere Baad”
Le K Jata Rha Hr Sham Wo Phool Ar Charagh”
Bs Yehi Us Ne Kia Jitna Jia Mere Baad”
Roz Ja Kr Wo Samundar K Kinaray Chup Chaap”
Nao Kaghaz Ki Bahata He Rha Mere Baad”
Us K Honton Se Mera Naam Nikal Jata Tha”
Jis Ne Apnaya Usay Chor Dia Mere Baad”
iK Parinda Jo Bulata Tha Usay Meri Tarah”
Wo Parinda B Tu Qafs Me Na Rha Mere Baad”
Me Ne Girnay Na Diye Thay Kabi Ansu Us K”
Shaid Is Wastay Wo Ro Na Saka Mere Baad”
Me B Wesa Na Rha Us K Bichar Janay Se”
k0! uS k0 B pEhchAn nA sAkA mErE bAad”
Apna Ehsas mar na jaye kahin
Apna Ehsas mar na jaye kahin
Dard had se Guzar na jaye kahin
Un ko dekhey hoye hoi Sadyan
Un ka Chehra bikhar na jaye kahin
Ab k Awaz doon to aa jana
Dil Deewana Sudhar na jaye kahin
Un ka Wada to hai magar Dil ko
Darr hai k kafir mukar na jaye kahin
Dard, Jugnoo, Hawa, Giley Shikwey
Yeh Mukaddar Sanwar na jaye kahin
Meri Dunya hai Dard ki Surat
Gul ki Surat Nikhar na jaye kahin
Khak se Aab tak to aa pohnchey
Ab yeh Darya Utar na jaye kahin
Yeh Mohabbat b ek Bala theri
Hum ko Darr hai wo Darr na jaye kahin
Is liye Muskuraye phirta hoon
Un ki Aankh b na bhar jaye kahin
Dil se guzra to hai magar Saqi
Apni Jaan se guzar na jaye kahin
HUMKO loota ha usi shehr ne ay jan e wafa
HUMKO loota ha usi shehr ne ay jan e wafa,
JIS ki galion men mohabat ka kuch hisab na tha,
WOH jo rehtay they mere sath hamesha din bhar,
UN K mazhab men wafaon ka koi baab na tha,
WO jo ankhon mein mohabat ko liye phirtay they,
UN K dil mein thee woh nafrat ke kuch hisab na tha,
MAIN ne jisko bhi museebat men maseeha jana,
JO dia usne bara us se kuch azaab na tha,
MUJHY khyal tha yeh log to mere apne hein WASI:
MAGAR wahan pe to aisa koi rewaj na tha.
Teri Ankhun K Haseen Jaal Me Aa Jaon Ga Mai
Teri Ankhun K Haseen Jaal Me Aa Jaon Ga Mai,
Mujh Ko Lagta Hai Teri Chaal Me Aa Jao Ga Mai.
Zindagi Baad Tere Hona Thi Mushkil Lekin,
Ye Na Socha Tha K Is Haal Me Aa Jao Ga Mai.
"Dekh Kr Us Ko Mujhe Yaad Kre Gi Dunya,
Eik Din Us K Khadokhaal Me Aa Jao Ga Mai."
Kitne Mosam The Jo De Kr Mujhe Taaney Guzrey,
Tum To Kehte They K Ik Saal Me Aa Jaon Ga Mai.
Sur Me Aa Jaye Ga Jewan Tere Jane Se,
Tere Aane Se Kisi Taal Me Aa Jao Ga Mai.
Dekho ge hamain roz magar bat na hogi
Dekho ge hamain roz magar bat na hogi
Ek shehar mei reh k bhi mulaqat na hogi..
Kehna hai jo abhi keh dalo waqt hai
Kal ko hum hon ge magar surat-e-haal na hogi..
Jo puchna hi tumko abhi puch lo warna
Kal shehar mei rasm-e-swalat na hogi..
Din honge taveel itne hijar k logo
Tarpo ge sar-e-sham magar raat na ho gi..
Hum jeet bhi gae to koi jeet na hogi
Wo haar bhi gae to use maat na hogi..
Ye soch k dil tarapne lagta hai k
Bichrain ge kabhi yun k mulaqaat na hogi
Dukh dard k maron se mera zikar na karna
Dukh dard k maron se mera zikar na karna
Ghar jao to yaron se mera zikar na karna
Wo zabat na kar paen gi ankhon k samandar
Tum raah guzaron se mera zikar na karna
Pholon k nasheman me raha hon me sada se
Daiko kabhi kharon se mera zikar na karna
Shaid ye andhaire hi mujhe raah dikhaen
Abb chand sitaron se mera zikar na karna
Wo meri kahani ko ghalat rang na de dain
Afsana nigaron semera zikar na karna
Shaid wo mere haal pe be- sakhata roo dain
Iss bar baharon se mera zikar na karna
Le jaen ge gehrai me tum ko bhi baha kar
Darya k kinaron se mera zikar na karna
Wo shakhs mile to use har bat batana
Tum sirf isharon se mera zikar na karna
Ho sake to karo khud main kashish paida.
Ho sake to karo khud main kashish paida.
Har kisi ko hasrat se dekha nhi karte ....
Har shakhs nhi hota har shakhs k qabil.
Har kisi ko apne liye parkha nhi karte .....
Mujh ko pana hai to Mujh main utar kar dekh.
Youn kinaron se samandar ko dekha nhi karte .......
Magroor duniya kehti hai to kehne do
Hum har kisi ko mur kar dekha nhi karte ....
Pal ki khushi ki khatir kisi k jism ka qurb mat mango
Jise chhoo liya jaye usay pooja nhi karte...........
Kyoun Bhool Gaye Hum Ko Rishta To Purana Tha.
Kyoun Bhool Gaye Hum Ko Rishta To Purana Tha.
Aik Yeh Bhi Zamana Hai Aik Woh Bhi Zamana Tha.
Rangeen Fizayein Thi Shokh Adayein Thi.
Jazbon Ki Jawani Thi Mosam Bhi Sohana Tha.
Seene Se Lagaya Tha Ankhon Pe Bithaya Tha.
Maloom Na Tha Tumne Yoon Chhor Ke Jana Tha.
Kyoun Humse Khafa Ho Tum Kyoun Humse Juda Ho Tum.
Kya Jurm Hua Humse Itna To Batana Tha.
Nafrat Se Bhari Nazrein Aik Jaan Hi Le Bethi.
Tukre Bhi Kiye Dil Ke Kya Khoob Nishana Tha.
Judaai k Mosam main, Utarti Shaam se Pehly
Judaai k Mosam main,
Utarti Shaam se Pehly,
Meri Yakh-Basta Aankhon main,
Khaamoshi Raqs karti hai,
To Usski Yaad ki Payal,
Yoon Mery Kaan main Aa kar,
Mussalsal Chanchhanati hai,
To Phir Yak-Dam Khaamoshi ka,
"Tassalsul" Toot jata hai,
Phir aisey mein koi "Koyal",
Barry hi Qarb se Kooky,
To yoon Mehsoos hota hai,
k jaise Be-Sabab koi,
Kissi ko "Yaad" karta hy.
Kissi ko "Yaad" karta hy...
Chalo Tum Chor Do Mujh Ko Main Wapis Laut Jata Hun
Chalo Tum Chor Do Mujh Ko
Main Wapis Laut Jata Hun,
Tumhain Manzil Mubarak Ho
Nai Rahein Mubarak Houn,
Magar Phir Ae Mere Humdum
Mujhe Itna To Btla Do,
K Wapis Kiss Taraf Joun
Kahan Se Sath Laye The.
Mujhe Itna To Smjha Do
Agar Aisa Nahi Mumkin,
To Mujh Ko Is Tarha Toro
K Mai Yaksar Bikhar Joun,
Bhatakne Se To Behter Hai
Tumhary Pass hi Mar Joun.
Friday, 19 October 2012
Tark-e-mohabbat kar baiThey hum, zabt-e-mohabbat aur bhi hai
Tark-e-mohabbat kar baiThey hum, zabt-e-mohabbat aur bhi hai
aik qayaamat beet chuki hai, aik qayaamat aur bhi hai
hum nay osi ke dard se apney saans ka rishta jor liya
warna shehar maiN zinda rehey ki ik soorat aur bhi hai
Doobta suraj dekh ke Khush ho rehna kisko raas aaya
din ka dukh sehney walooN, raat ki vehshat aur bhi hai
sirf rutooN ke badalney ke saath badaltey rehney par mauqoof nahi
os maiN bacchooN jaisi zid karney ki aadat aur bhi hai
sadyooN baad osey dekha, dil nay phir mehsoos kia
aur bhi gehree chauT lagee hai, dard ki shiddat aur bhi hai
meri bheegtee palkooN par jab os nay donoo haath rakhey
phir yeh bhaid khula in ashkooN ki qeemat aur bhi hai
osko ganva kar "Mohsin" oske dard ka qarz chukana hai
aik azziyat maand paree hai aik azziyaat aur bhi hai !!
Suno Tum laut aao na
Suno Tum laut aao na.
Wo dekho chand nikla hai.
Hamari muntazir ankhein,
Duain maangti ankhein.
Tumhein sochti ankhein,
Tumhein dhondti ankhein,
Tumhein wapis bulati hain,
Ye Dil jab bhi Dharakta hai.
Tumhara naam layta hai.
Ye aansu jab bhi behtay hain.
Tumharay Dukh main behtay hain.
K barish jab bhi hoti hai.
Tumhein yaad kartay hain.
Khushi koi jo aaye bhi.
Tumharay bin adhuri hai.
Suno tum laut aao na.
wo dekho chand nikla ha...
Suna hai log ussy aankh bhar ke diakhty hain
Suna hai log ussy aankh bhar ke diakhty hain
so us k shaher main kuchh din theher k daikhty hain
Suna hai bolay to baton sy phool jhertay hain
ye baat hai to chalo baat ker ke daikhty hain
Suna hai din ko usay titliyan setati hain
Suna hai raat ko jugnoo theher ke daikhty hain
Suna hai raat usko chaand takta rehta hai
Sitaary baam-e-falak sy uter ke daikhty hain
Suna hai rabt hai us ko kherab haalon sy
tu apnay aap ko berbaad ker ke daikhty hain
Suna hai us ke badan ki terash aisi hai
k phool apni qebaaein ketar ke daikhty hain
Suna hai us ke shabistaan se muttasil hai bahisht
makeen udher ke bhi jalvy idher ke diakhty hain
Thursday, 18 October 2012
Sarapa iltija huN, aur chup huN
Sarapa iltija huN, aur chup huN
maiN kya kya dekhta huN, aur chup huN
wafa k daeiry meiN huN muqayyad,
sabhi kuch janta huN, aur chup huN
bhula beTha huN tery her sitam ko,
ghamoN ka silsila huN, aur chup huN
udoo ho, jaan-e-jaN ho ya koi aur,
her ik se aashna huN, aur chup huN
hazaroN aandhiaN, lakhoN haiN toofaN,
maiN gir gir k uTha huN, aur chup huN
bata kr raasta chalty bany ho,
saraboN meiN khaRa huN, aur chup huN
hawa jab gudguda'ay chandni ko
kisi ko sochta huN, aur chup huN
Sakht mushkil mai hai ye jaan koi kia jane
Sakht mushkil mai hai ye jaan koi kia jane ?
Dil ki duniya hui veeran koi kia jane?
Jhatak k hath mera chhor chala hai mujh ko
Kese rukhsat huwa mehman koi kia jane?
Zuban se un ki khud ko Be-wafa sun kar
Gir para mujh pe aasman koi kia jane ?
Ehad uss ka tha muhabbat mai sath mrne ka
Kese badla uss ka Emaan koi kia jane?
Dhoondti rehti hain uss ko hi nigahen meri,
Kyun hain aankhen ye preshan koi kia jane?
Rasta He Naya Hai Na Main Anjan Bohot Hoon
Rasta He Naya Hai, Na Main Anjan Bohot Hoon,
Phir Ko'e MaLamat Mein Hoon, Na-Daan Bohot Hoon.
Ik Umar Jise Khawab Kii Manind He Daikha,
Chhoone Ko MiLa Hai Toh Pareshan Bohot Hoon.
Mujh Main Kabhii Aahat Kii Tarah Se Koii Aaye,
Ik Band GaLLii Kii Tarah Sunsan Bohot Hoon.
Daikha Hai Gurez Us Nigah-E-Sard Ka Itna,
MaayeL Ba-Tawajah Hai Toh Hairan Bohot Hoon.
ULjhen Ge Kaii Baar Abhii Lafz Se Mafhoom,
Saadah Hai Bohot Woh Na Main Aasan Bohot Hoon .
Q bhool gaye hum ko rishta to purana tha
Q bhool gaye hum ko rishta to purana tha?
Ek ye bhi zmana hai ik woh bhi zamana tha...
Rngeen fizayen thi shokh adaen thi...
Jzbon ki Jwani thi mosam bhi sohana tha...
Seeny se lgaya tha ankhon pe bithaya tha!
Maloom na tha tm ne yun chor k Jana tha!
Q hum se khafa ho tm Q hum se Juda ho tum?
Kya Jurm hua hum se itna to batana tha...
Nafrat se bhari nazrain ik Jaan hi le bethi...
Tukre b kiye dil k kya khoob nishana tha!! ?
Phool sa kuch kalaam or sahi
Phool sa kuch kalaam or sahi.
Ik ghazal us k naam or sahi.
Is ki zulfen boht ghaneeri hain.
1 shab ka qayaam or sahi.
Zindagi k udaas qessey hain.
1 larki ka naam or sahi.
Haseeno ko sunaeay ghazlen.
Qatal ki 1 shaam or sahi.
Kapkapati ha raat seeny main.
Zehar ka 1 jaam oR sahi...!
Mujhe maaf kar maire humsfar
Mujhe maaf kar maire humsfar
tuhje chahna meri bhool thy,
kisi raah per jo uthy nazar
tujhe dekhna meri bhool thy
koy nazam ho ya koy ghazal
kahen raat ho ya kahen sehar
wo gali gali wo shehar shehar
tujhe dhondna meri bhool thy
meray gham ki koy dawa nhi
mujhe tujhsa koy mila nhi
mera koy tere siwa nahi
ye sochna meri bhool thy...
Subscribe to:
Posts (Atom)