Suna hai log ussy aankh bhar ke diakhty hain
Suna hai log ussy aankh bhar ke diakhty hain
so us k shaher main kuchh din theher k daikhty hain
Suna hai bolay to baton sy phool jhertay hain
ye baat hai to chalo baat ker ke daikhty hain
Suna hai din ko usay titliyan setati hain
Suna hai raat ko jugnoo theher ke daikhty hain
Suna hai raat usko chaand takta rehta hai
Sitaary baam-e-falak sy uter ke daikhty hain
Suna hai rabt hai us ko kherab haalon sy
tu apnay aap ko berbaad ker ke daikhty hain
Suna hai us ke badan ki terash aisi hai
k phool apni qebaaein ketar ke daikhty hain
Suna hai us ke shabistaan se muttasil hai bahisht
makeen udher ke bhi jalvy idher ke diakhty hain
No comments:
Post a Comment