Ab khauf nahi koi mujhe raah guzar se
Ab khauf nahi koi mujhe raah guzar se
Main door nikal aai hon pathar k bazar se
Dewar uthate ho to mazbot uthao
Aesa na ho dar jao kabhi apnay hi gher se
Ye log bhi achay hain makan bhi bohat achay
Bas main hi bezaar in achon k nagar se
Ek mor pe hum ajnabi ban k bhi milen ge
Ye baat to maloom thi aaghaz e safar se
Jesa bhi hon acha k bura apnay leye hon
Main khud ko nahi dekhta auron ki nazar se sy.
No comments:
Post a Comment