Mein Haqeeqat Houn Samajhtey Hein Woh Afsaana Mujhey Khud Jalaatey Hein Bana Kar Apna Parwaana Mujhey Gardash-e-Dauraan Se Kehdo Housh Ke Baatein Karey! Gham Ke Toofaanoun Se Bhi Aata Hey Takraana Mujhey Un Se Un Ki Bazm Mein Itna Hi Keh Ke Uthh Gaya Raunaqein Tum Ko Mubarak Aur Veeraana Mujhey Jaaney Kya Aadmi Tha, Na-Aashna Lagta Tha Woh Kar Gaya Sarey Shanasaaoun Se Be-Gaana Mujhey Aisey ChhupChhup Kar Kahan Tak Zahmat-e-Jalwa- Gari Hashar Jo Bhi Ho, Nazar Aa Be-Hijabaana Mujhey Meri Tark-e-May Kashi Per, Meri Har Tauba Ke Baad, Ehtiraaman Leney Aaya Meer-e-May Khaana Mujhey Har Naye Saaqi Ne Uff! Hasb-e-Riwayat He Diya Meray He Khoon-e-Jigar Se Bhar Ke Pemaana Mujhey Dekh Kar Iss Dil Ki Thandi Aag Mein Jaltey Howye Hogay Rukhsat Duaayen De Ke Parwana Mujhey