Blogger Widgets

Thursday, 18 October 2012

Kisi ki khatir qarar khona koi sune ga to kya kahe ga

Kisi ki khatir qarar khona, koi sune ga to kya kahe ga
Ye raton ko uth uth kr rona, koi sune ga to kya kahe ga

Bhanwar main mj ko chor ate, to apni ulfat ka raaz rehta
Sahil pe la k yu dabona, koi sune ga to kya kahe ga

Zamana husn-o-shabab ka hai, haseen khawab-o-khayal ka hai
Ye shab-e-bedari ye din ka sona, koi sune ga to kya kahe ga

Kaha jo maine,daro khuda se, na chhero k dil dharak raha hai
Wo hans k bole chup raho na, koi sune ga to kya kahe ga!

No comments: